Roman script

tere labo ke muqabil gulab kya hoga 
tere labo ke muqabil gulab kya hoga 
tu la jawab hai tera jawab kya hoga 
tere labo ke muqabil
teri ada pe fida hum to kya jamana hai 
teri ada pe fida hum to kya jamana hai
nisar tujhpe mere dil ka yah khazana hai 
tere shawab se badkar ye shawab kya hoga 
tere shawab se badkar ye shawab kya hoga 
tere labo ke muqabil
tu mushkurye to jaati bahar aa jaaye 
tu mushkurye to jaati bahar aa jaaye 
dile bimaar ko phir se karar aa jaaye 
tere karm ka kisi se hisab kya hoga
tere karm ka kisi se hisab kya hoga 
tere labo ke muqabil

Song details

Song video

Watch on YouTube