Roman script

tera khayal dil se mitaya nahi abhi

bedard maine tujhko bhulaya nahi abhi

tera khayal dil se mitaya nahi abhi

bedard maine tujhko bhulaya nahi abhi

kal tune muskura ke jalaya tha khud jise

jalaya tha khud jise

sine kaa wo charag bujhaya nahi abhi

bedard maine tujhko bhulaya nahi abhi

gardan ko aaj bhi teri baho ki yaad hai

baho ki yaad hai

chaukhat sey teri sar ko uthaya nahi abhi

bedard maine tujhko bhulaya nahi abhi

behosh hoke jald tujhe hosh aa gaya

tujhe hosh aa gaya

mai badnasib hosh me aaya nahi abhi

bedard maine tujhko bhulaya nahi abhi

Explore this song