Roman script

tabhi aata hai peene aur pilaane ka maja humko

humaare saamne jab koi, tauba karne wala ho

tauba karne wala ho

tauba re tauba chhodo zehar, ye sharaab hai

tauba re tauba chhodo zehar, ye sharaab hai

pee jisne samjho jindgi

pee jisne samjho jindgi

uski kharaab hai

nada tujhe khabar nahi kya ye sharaab hai

nada tujhe khabar nahi kya ye sharaab hai

peekar jara to dekhiye, peekar jara to dekhiye

shay laajawaab hai

nada tujhe khabar nahi kya ye sharaab hai

tauba re tauba chhodo zehar, ye sharaab hai

ise peete hai jo jindgi barbaad karte hai

hazaaro ghar isi ke naam se fariyaad karte hai

isi ki wajah se duniya me laakho jurm hote hai

mujrim hai, mujrim hai

vo mujrim hai jo fir bhi, maykada aabaad karte hai

aabaad karte hai

peena to chhodiye ise chhuna azaab hai

peena to chhodiye ise chhuna azaab hai

pee jisne samjho jindgi

pee jisne samjho jindgi

uski kharaab hai

nada tujhe khabar nahi kya ye sharaab hai

nada tujhe khabar nahi kya ye sharaab hai

hai jo ghamjada , bas hai isi ka aasra usko

jo de aaram gham me

kyu na fir kah de dawa usko

mujhe itna yaki hai, tum agar ek baar pee loge

to fir mumkin nahi, to fir mumkin nahi

to fir mumkin nahi hai ye

ke tum keh do bura isko

ek baar pee ke dekhne me kya hizaab hai

ek baar pee ke, ek baar pee ke

ek baar pee ke dekhne me kya hizaab hai

ek baar pee ke dekhne me kya hizaab hai

peekar jara to dekhiye, peekar jara to dekhiye

shay laajawaab hai

tauba re tauba chhodo zehar, ye sharaab hai

tauba re tauba chhodo zehar, ye sharaab hai

jo hosh tere chhin le, haiwaan bana de

do ghunt hi me jo tera imaan udaa de

mat kar tu nasha aisa tujhe teri kasam hai

pini hai to pee aisi jo insaan bana de

insaan bana de, insaan bana de

sach tumne ye kaha ki nasha may ka hai bura

har bund me hai iski yakinan zehar bhara

lo aaj hum bhi karte hai tauba sharaab se

lo aaj hum bhi karte hai tauba sharaab se

tauba tauba, tauba tauba

tauba tauba, tauba tauba sharaab se

lo aaj hum bhi karte hai tauba sharaab se

aankhe hai jo khol di hai

bahut iska shukriya, shukriya, shukriya

jo hosh me yaha hai wahi kaamyamb hai

jo hosh me yaha hai wahi kaamyamb hai

pee jisne samjho jindgi

pee jisne samjho jindgi

uski kharaab hai

tauba re tauba chhodo zehar, ye sharaab hai

tauba re tauba chhodo zehar, ye sharaab hai

Explore this song