Roman script

aao aao honahaar o pyaare bachche

pyaare bachche, umar ke kachche, baat ke sachche

jiwan ki ek baat butaaun 

musibato se daro nahi

buzadil ban ke maro nahi

rote-rote kyaa hai jinaa

naacho dukh me taan ke sinaa 

naacho dukh me taan ke sinaa 

tak tak dhum dhum tak tak dhum dhum 

tak tak dhum dhum tak tak dhum dhum 

tak tak dhum dhum 

raat adhiyaari ho, ghiri ghataaye kaari ho

raastaa sunasaan ho, aandhi aur tufaan ho

mazil teri dur ho mazil teri dur ho 

paanv tere majabur ho to kyaa karoge

ruk jaaoge naa to kyaa karoge

tak tak dhum dhum tak tak dhum dhum 

tak tak dhum dhum tak tak dhum dhum 

tak tak dhum dhum 

desh me vipda bhari ho janta sab dukhiyari ho

bukhmari aakal ho baadh aur bhuchal ho

mulk me hahakar ho mulk me hahakar ho

chaaro tarah bukhar ho to kya karoge

chup baithoge na to kya karoge

tak tak dhum dhum tak tak dhum dhum 

tak tak dhum dhum tak tak dhum dhum 

tak tak dhum dhum 

insaano ke duhkh hal pahchan

karake apanaa sab qurabaan

bebas kaa ghar bas jaaye

apanaa ghar jo ujad jaaye

auro ka kar ke aabaad 

auro ka kar ke aabaad 

huye agar jo tum barabaad

to kyaa karoge rooge

naa to kyaa karoge

tak tak dhum dhum tak tak dhum dhum 

tak tak dhum dhum tak tak dhum dhum 

tak tak dhum dhum 

jag me ghor ladaai ho, vatan pe aafat aai ho

ghar me ghuse lutere ho, aazaadi ko ghere ho

banduko ki maar ho banduko ki maar ho

bade-bade laachaar ho to kyaa karoge

dar jaaoge naa to kyaa karoge

tak tak dhum dhum tak tak dhum dhum 

tak tak dhum dhum tak tak dhum dhum 

tak tak dhum dhum

Explore this song