Roman script

dil todane waale yaad rahe ho yaad rahe

aansu na bahaanaa mere liye

duniyaa teri aabaad rahe aabaad rahe

jab pyaar ki duniyaa lut jaaye

phir ji kar bhi kyaa lenaa hai 

jab pyaar ki duniyaa lut jaaye

phir ji kar bhi kyaa lenaa hai 

aramaan tadap kar kahte hai

barabaad the ham barabaad rahe

barabaad rahe

mai thaam ke aansu palko me

chupke chupke jal jaunga

mai thaam ke aansu palko me

chupke chupke jal jaunga

is dil me dard basaa lungaa

ab kyun isme teri yaad rahe teri yaad rahe

o jane wale tu kya jane 

ro ro ke jawani kahti hai

o jane wale tu kya jane 

ro ro ke jawani kahti hai

kya pyar yahi hai dil tadpe

or hontho par fariyad rahe

fariyad rahe 

majbur tha mai tujhko teri 

kismat ke sahare chod diya

majbur tha mai tujhko teri 

kismat ke sahare chod diya

ab dil ki dhadkan kahti hai    

tu shad rahe aabad rahe aabad rahe

tadpake mujhe ab chod diya 

dil todane waale yaad rahe ho yaad rahe

Explore this song