Roman script

suno suno ke bahut dukh bhara fasana hai 

hamare rone se hansta jamana hai 

kasur ye hai ki paida huye garib ke ghar

hamara dil to har ek teer ka nishana hai 

tumhare saamne aansu bahaye jate hai 

tumhare saamne aansu bahaye jate hai 

najar se dil ki kahani sunaye jate hai 

najar se dil ki kahani sunaye jate hai 

tumhare aish ki buniyaad hai hamara gam 

tumhare aish ki buniyaad hai hamara gam 

tumhare sukh ke liye dukh uthaye jate hai 

tumhare sukh ke liye dukh uthaye jate hai 

rangate hai jinke mahlo ko ham apne khun se  

rangate hai jinke mahlo ko ham apne khun se  

unhi ke gamo ko lekar banaye jate hai 

unhi ke gamo ko lekar banaye jate hai 

duniya me ab humaari mohare laga hi jaana 

hasta hua savera ab to hai aane waala 

duniya me ab humaari mohare laga hi jaana 

hasta hua savera ab to hai aane waala

hum apne soye dil ko jagaaye jaate hai 

hum apne soye dil ko jagaaye jaate hai 

jagaaye jaate hai, jagaaye jaate hai

Explore this song