Roman script

suno sunau ek kahani

apni samjho ya begani

suno sunau ek kahani

bees baras hui ek nagar me

munni aayi kisi ke ghar me

jhule jhuli godo kheli

nanhi munni wo albeli

thumak thumak kar aati jati

sare ghar ko nach nachati

thumak thumak kar

dhire dhire bachpan bita

dhum machati aayi jawani

aayi jawani, aayi jawani

mast jawani kya kya layi

masti me dubi angdayi

bat bat par sharma jana

aachal dato tale dabana

bat bat par

bat bat par sharma jana

aachal dato tale dabana

naye nazare naye tarane

nayi mahfile nayi kahani

aayi jawani, aayi jawani, aayi jawani

suno sunau naya fasana

kali bani jab phul suhana

suno sunau naya fasana

nayi umange dil me jaagi

kisi se uski ankhiya laagi

ankhiya laagi, ankhiya laagi

dilse dil ki bat ho gayi

khushiyo ki barsat ho gayi

ban kar bigda khel suhana

dard bhara ab suno fasana

pyar bhare dil mil sakte the

phul khushi ke khil sakte the

bich dahej ki bat aa gayi

dub gaya din rat aa gayi

keemat bees hazar thi war ki

khatre me izzat thi ghar ki

tum kaho ab wo kya karti

bechari, bechari jeeti ya marti

is jine se marna acha

maut ke ghat utarna acha

dunia walo, dunia walo dil ke kalo

apna ye sansar sambhalo

jis dunia me pyar nahi

wo mera sansar nahi

Explore this song