Roman script

kahin preet se bhara koyi geet gaa raha

kahin preet se bhara

ankhiya mila mila mujhko bula raha

jiyara umang me jiyara umang me

kahin preet se bhara

jahan nain mil gaye wahan praan khil gaye

jahan nain mil gaye

mere ang ang me koyi chha raha

manva tarang me manva tarang me

jahan nain mil gaye

ye chandrama ye chandni ye kaliya ye lata 

ye chandrama ye chandni ye kaliya ye lata 

lahra ke man ka mere de rahe pata

kahin preet se bhara

o chandrama o chandni o kaliya o lata 

o chandrama o chandni o kaliya o lata 

meri preet ka sandeshwa do use bata

jahan nain mil gaye wahan praan khil gaye

jahan nain mil gaye

Explore this song