Roman script

sunate aaj tumko, hum mahabharat ki gatha

sunate aaj tumko, hum mahabharat ki gatha

hazaro varsh pahle, dekh lo ye desh kya tha

yaha the veer adhbhut, randhir adhbhut

wo pran ko paalte the, pahad uchalte the

wo nar the aad wale, vilakshan maad wale

wo jeena jante the, wo marna jante the

pratapi nar se darkar, kaal muththi me bandha tha

hazaro varsh pahle, dekh lo ye desh kya tha

wo ek mahan yug tha

bada balwan yug tha

jagat tha daas apna

padho itihas apna

na din wo pyar ke the

wo din talwar ke the

yaha jab ran hua tha

chakit tribhuvan hua tha

hatheli par liye matha yaha

har nar khada tha

hazaro varsh pahle, dekh lo ye desh kya tha

anokhi ye katha hai, badi isme jatha hai

yaha bhagwan bhi the, yahi shaitan bhi the

gajab ki yaariya thi

prakhar chingariya thi

naman hai aaj inko

hai vandan aaj inko

ke jinki jeet ka

sansar me danka baja tha

hazaro varsh pahle, dekh lo ye desh kya tha

Explore this song