Roman script

mere munna, mere chanda 

sundar rajkumar

jab se tu aaya mere dwaar

mujhko badla badla sa 

lagta hai sara sansaar

o mere jivan ke ujiyaare

mere bhagy sitare 

pake tujhe maine pa liye

duniya ke sukh saare

aisa lagta kisi devta ka, tu hai avtaar 

tu hai re avtaar

mere bache, mere bete 

sundar rajkumar

aa munna mai tere gaal par

likh du apna naam

teri hatheli pe mai likh du

apni umar tamam

tere liye mere man me bete

pyar hai aprampar, pyar hai aprampar

mere munna, mere chanda 

sundar rajkumar

jab se tu aaya mere dwaar

mujhko badla badla sa 

lagta hai sara sansar

Explore this song