Roman script

sun sun re jara insaan

sun sun re jara insaan

ho sun sun re jara insaan

kis par karta hai tu abhiman

ke ek din aayega vo toofan

ke jab mit jayegi matti me sab shan

sun sun re jara insaan

baate banata kyu badh badh ke

chalta kyu akad akad ke

kon bachane aayega

jab le jayega kaal pakad ke

are kitna badh le kitna badh le

kitna bhi chad le manjil hai teri madaan

o sun sun re jara insaan

kis par karta hai tu abhiman

ke ek din aayega vo toofan

ke jab mit jayegi matti me sab shan

sun sun re jara insaan

niche hai dharti upar hai aasman

chalti hai duniya ki chaki

iske do bade pato ke bich me

koi bacha na baki koi bacha na baki

are tu to kya cheez hai

tu to kya cheez yaha ravan se raja ka

baki raha na nishan

o sun sun re jara insaan

kis par karta hai tu abhiman

ke ek din aayega vo toofan

ke jab mit jayegi matti me sab shan

sun sun re jara insaan

bade bade papi aaye the jinke

sara jagat thehraya

ek din aise gire muh ke bal

char kandho ne unko uthaya

are auro ki kutiya

auro ki kutiya jalayega to

jal jayega tera makan

sun sun re jara insaan

kis par karta hai tu abhiman

ke ek din aayega vo toofan

ke jab mit jayegi matti me sab shan

sun sun re jara insaan

Explore this song