Roman script

sun chaand meri yeh daasta, mai kahu tujhe ya ke na kahu

teri chandani tere paas hai, mujhe yeh bata mai kaha rahu

sun chaand meri yeh daasta

khili rain me dekho chain se, hai yeh saara aalam so raha

tere in sitaaro ki chhaanv me, mai akela chupchup so raha

lagi aag birah ki ang me, mai sahu ise ya ke na sahu

mai sahu ise ya ke na sahu

sun chaand meri yeh daasta

wo najar jo dil me utar gayi, jaise chubh gaya koi shul ho

wo hatheli par tera mukh saja, jaise phul par koi phul ho

yu bahe nadi teri yaad ki, mai bahu yahan ya ke na bahu

mai bahu yahan ya ke na bahu

sun chaand meri yeh daasta

Explore this song