Roman script

sulag rahi hai haye jawani

gham ki aag me

na jane, na jane

likhne wale ne kya likha bhag me

kya likha bhag me

tum kya badle duniya badli

sapno ki maya tut gayi

badal gayi aaho me khushiya

kismat meri fut gayi

haye kismat meri fut gayi

pahle se ab bol kaha

jivan ke raah me

haye jivan ke raah me

sulag rahi hai haye jawani

gham ki aag me

na jane, na jane

likhne wale ne kya likha bhag me

kya likha bhag me

sath chhodkar jane wale

jaha raho aabad raho

o bala se mitte hai mit jaye

hai ye dua tum shad raho

haye hai ye dua tum shad raho

maine tumhare gham ki raate

kaati jaago me

haye kaati jaago me

sulag rahi hai haye jawani

gham ki aag me

na jane, na jane

likhne wale ne kya likha bhag me

kya likha bhag me

udhar chandni khel rahi hai

apne chand se holi

idhar jiya me mere dil ke armano ki holi

haye armano ki holi

pahle sa ab rang kaha tha fagun ke faag me

haye fagun ke faag me

sulag rahi hai haye jawani

gham ki aag me

na jane, na jane

likhne wale ne kya likha bhag me

kya likha bhag me

Explore this song