Roman script

barbaad mohabbat ki chhoti si kahani hai

barbaad mohabbat ki chhoti si kahani hai

ek tuta hua dil hai ek teri nishani hai

ek teri nishani hai

sawan bhi gaya kab ka 

mausam bhi gaye kab ke

bhigi meri aankho se ashqo ki rawani hai

ashqo ki rawani hai

barbaad mohabbat ki chhoti si kahani hai

taqdeer ki thokar ne wo zakhm lagaya hai

wo zakhm lagaya hai

na maan umange hai khamosh jawaani hai

khamosh jawaani hai

barbaad mohabbat ki chhoti si kahani hai

mar jaati to achha tha par haay re majburi

par haay re majburi

hum mar bhi nahi sakte wo maut suhani hai

wo maut suhani hai

barbaad mohabbat ki chhoti si kahani hai

Explore this song