Roman script

shukriya shukriya meharbano shukriya

ke mere ansuo ko ghungru bana diya 

bana diya shukriya 

zamana royega sunkar jise mai wo kahani hoon

ho zamana royega sunkar jise mai wo kahani hoon

kisi mandir ki jyoti hu kisi ke dil ki rani hu mujhe mere nasibo ne mahfil me nacha diya nacha diya meharbano ka shukriya

wafa ki sharam ki izzat ki rasme tod di 

maine 

ho wafa ki sharam ki izzat ki rasme tod di maine 

pehen li ek payal sari kasme tod di maine tavayaf ek aurat ko aise logo ne bana diya

bana diya meherbano ka shukriya 

ye wo bazar hai jisme sanam nilaam hote hai 

ho ye wo bazar hai jisme sanam nilaam hote hai 

suna hai log daulat ke liye badnam hote hai 

mujhe meri sharafat ne kothe pe bitha diya 

bitha diya meherbano ka shukriya 

ke mere ansuo ko ghungru bana diya 

bana diya shukriya

Explore this song