Roman script

na mujhko hichki aayi na pav mera fisla

arey arey arey arey na mujhko hichki aayi 

na pav mera fisla sharabi kahta hai mujhko 

zamana hai bada pagla sharabi kahta hai mujhko 

zamana hai bada pagla kya mama

garibo ne pi dhan walo ne pi hai

ye bhudo ne pi jawano ne pi hai

zamano se ye to zamano ne pi hai

ho karte ho pike do ghunt hangama

dikhate ho tum ye naya karnama

ho mama ho mama ho mama ab chhod do ye darama

hey aira gaira to isko pine se darta hai

arey koi kaleje wala hi ye pyala bharta hai

mai bhar ke zam duniya se ha

mai bhar ke zam duniya se pyar karne nikla

sharabi kahta hai mujhko zamana hai bada pagla

sharabi kahta hai mujhko zamana hai bada pagla

tumhe dekh kar humko aati sharam hai

zara socho kaisa tumhara karam hai

na iman tum me na koi dharam hai

dharam kya hai bolo ye iman kya hai

agar hum na mane to bhagwan kya hai

jo pita nahi hai wo insan kya hai

mere sine me ek aag ka dariya basa hai

har roz mera dil sholo se hi khela karta hai

maine to dil jala ke

maine to dil jala ke jivan ka rang badla

sharabi kahta hai mujhko zamana hai bada pagla

sharabi kahta hai mujhko zamana hai bada pagla

bhala aag dil me ye kisne lagai

kaho kisne nindiya tumhari udai

ye khud hath se tumne duniya lutai

jivan ke jab sathi hi chhut jaye

jis ghar ko ghar wale hi lut jaye

jine ke sab aashre tut jaye

koi bhi sahara rahe jab na baki

ye sukh me bhi sathi ye dukh me bhi sathi

jisko gale lagaya

jisko gale lagaya kanto ka har nikla

sharabi kahta hai mujhko zamana hai bada pagla

sharabi kahta hai mujhko zamana hai bada pagla.

Explore this song