Roman script

sau baar mile mil kar bichhde 

sau baar mile mil kar bichhde 

main dil ki lagi ko bujha na saki

main dil ki lagi ko bujha na saki

har baar sunana ji chaha

har baar sunana ji chaha

par dil ka haal suna na saki

par dil ka haal suna na saki

sau baar mile

teri yaad me aahen bhar bhar ke

aur duniya se bhi dar dar ke

teri yaad me aahen bhar bhar ke

aur duniya se bhi dar dar ke

kai haar piroye tere liye

kai haar piroye tere liye

main ek tujhe pahna na saki

main ek tujhe pahna na saki

sau baar mile

dil prem ki aag se jalta gaya

mere pyaar ka paudha falta gaya

dil prem ki aag se jalta gaya

mere pyaar ka paudha falta gaya

faldaar hua to ae kismat

faldaar hua to ae kismat

main uska bhi fal kha na saki

main uska bhi fal kha na saki

sau baar mile

vo bichhad gaye mujhse mil ke

armaan tadapte hai dil ke

vo bichhad gaye mujhse mil ke

armaan tadapte hai dil ke

main ujdi hui haay

main ujdi hui tere kadmo me

ek chhoti si duniya bana na saki

ek chhoti si duniya bana na saki

sau baar mile

main dil ki lagi ko bujha na saki

main dil ki lagi ko bujha na saki

sau baar mile

Explore this song