Roman script

mujhse chhipke agar kahi tum 

mere mohan bhage 

mere mohan bhage 

bhage tum mere naina 

hardam aage aage 

sanwariya re apni, meera ko bhul na jana

bar bar us paar tumhari, pagal prit pukare 

main is paar chita si jalti, jivan nadi kinare

main is paar chita si jalti, jivan nadi kinare

bina tumhare jag ye suna

bina tumhare jag ye suna, lagta desh virana 

sanwariya re apni, meera ko bhul na jana

daya karo 

daya karo ab pas bula lo 

mere jivan data 

meri vidhva prit se jodo

phir suhag ka nata 

meri vidhva prit se jodo

phir suhag ka nata 

bhari lagta aansu ka bhi

bhari lagta aansu ka bhi, ab to bojh uthana

sanwariya re apni, meera ko bhul na jana

Explore this song