Roman script

san sanan sanan sanan ja re o pavan 

dur desh leja sandesh jaha mere sajan

ja re o pavan 

chhu ke charan kehna pavan

birha agan ab ho na sehen

tan hai yaha aur praan waha

meri puja yaha aur bhagwan waha

ye duri sahe kaise man ki mayuri

ye duri sahe kaise man ki mayuri

barste hai naino ke dhan o ho

san sanan sanan sanan ja re o pavan

din na kate dukh na ghate 

tumse laga nahi dhyan hate

tufano me hai jalta diya

ab tum bin jina kathin hai piya

ya tum chale aao ya mujhko bulao 

karo koi aisa jatan

san sanan sanan sanan ja re o pavan

dur desh leja sandesh jaha mere sajan

ja re o pavan

Explore this song