Roman script

saajan ki galiya chhod  chale

dil roya aasu beh na sake

ye jeena bhi koi jeena hai 

hum unko apna keh na sake

saajan ki galiya

jab unse bichhad kar aane lage

jab unse bichhad kar aane lage

ruk ruk ke chale, chal chal ke ruke

lab kaape ankhe bhar aaye

kuchh kehna chaha keh na sake

saajan ki galiya chhod  chale

dil roya aasu beh na sake

saajan ki galiya

unke liye unko chhod  diya 

khud apne dilko tod diya

hum unke dil me rehte the 

unke kadmo me reh na sake

saajan ki galiya chhod  chale

dil roya aasu beh na sake

saajan ki galiya

saajan hai waha aur hum hai yaha

aise dil ko le jaaye kaha

jo paas bhi unke reh na sake 

aur dard-e-judaai seh na sake

saajan ki galiya chhod  chale 

dil roya aasu beh na sake

saajan ki galiya

Explore this song