Roman script

na puchho pyar ki hamne wo hakikat dekhi

wafa ke naam pe bikti hai hui ulafat dekhi

kisi ne luta liya aur khabar na hui

khuli jo aankh to barbad muhabbat dekhi

sab kuch luta ke hosh mein aaye to kya kiya

sab kuch luta ke hosh mein aaye to kya kiya

din mein agar charag jalye to kya kiya

sab kuch luta ke hosh mein aaye to kya kiya

main wo kali hu jo na baharo mein khil saki 

main wo kali hu jo na baharo mein khil saki 

wo dul hu jisko pyar ki manjil na mil saki

manjil na mil saki

patthar pe hamne phul chadhaye to kya kiya 

din mein agar charag jalye to kya kiya

sab kuch luta ke hosh mein aaye to kya kiya

jo mil na saka pyar gam ki sham to mile 

jo mil na saka pyar gam ki sham to mile 

ik bewafa se pyar ka njaam to mile 

ae maut jaldi aa ae maut jaldi aa jara aaram to mile 

do din khushi ke dekh na paye to kya kiya 

karte rahe khijaa se ham sauda bahar ka 

badla diya to kya ye diya unke pyar ka 

sab kuch luta ke hosh mein aaye to kya kiya

sab kuch luta ke hosh mein aaye to kya kiya

din mein agar charag jalye to kya kiya

sab kuch luta ke hosh mein aaye to kya kiya

sab kuch luta ke hosh mein aaye to kya kiya

ham badnasib pyar ki ruswai ban gaye

ham badnasib pyar ki ruswai ban gaye

khud hi laga ke aag tamashai ban gaye

tamashai ban gaye

daman se ab ye shole bujhaye to kya kiya 

din mein agar charag jalye to kya kiya

sab kuch luta ke hosh mein aaye to kya kiya

sab kuch luta ke hosh mein aaye to kya kiya

le le haar phulo ke aayi to thi bahar

le le haar phulo ke aayi to thi bahar

najre uthake hamne hi dekha na ek baar 

dekha na ek baar

aankho se ab ye parde hataye to kya kiya 

din mein agar charag jalye to kya kiya

sab kuch luta ke hosh mein aaye to kya kiya

sab kuch luta ke hosh mein aaye to kya kiya

Explore this song