Roman script

ranjish hi sahi sawan mein tum

aankhon ko rulaane aa jaao

ranjish hi sahi sawan mein tum

aankhon ko rulaane aa jaao

dastak dekar darwaje par

dastak dekar darwaje par

wapas jaane ko aa jaao

ranjish hi sahi sawan mein tum

aankhon ko rulaane aa jaao

ranjish beja tum rakhte ho

barso se kyun dil mein apne

ranjish beja tum rakhte ho

barso se kyun dil mein apne

in sawan ki bauchharon se

ranjho gham saare dho jaao

ranjish hi sahi sawan mein tum

aankhon ko rulaane aa jaao

mausam badale kaliyan badali

ghulshan me bahare badal gayi

mausam badale kaliyan badali

ghulshan me bahare badal gayi

tum bhi ranjish ko chhod sanam

phir seene se ab lag jaao

ranjish hi sahi sawan mein tum

aankhon ko rulaane aa jaao

ranjish aksar hoti unse

jo dil se apne hote hain

ranjish aksar hoti unse

jo dil se apne hote hain

iss jhumle ka matlab lekar

bheege aanchal tum aa jaao

ranjish hi sahi sawan mein tum

aankhon ko rulaane aa jaao

rangeen adaa rangeen chehara

rangeen tabasoom le kar tum

haan rangeen adaa rangeen chehara

rangeen tabasoom le kar tum

ik baar vivash phir baarish mein

iin baahon mein tum kho jaao

ranjish hi sahi sawan mein tum

aankhon ko rulaane aa jaao

dastak de kar darwaje par

waapas jaane ko aa jaao

ranjish hi sahi sawan mein tum

aankhon ko rulaane aa jaao

aankhon ko rulaane aa jaao

aankhon ko rulaane aa jaao

Explore this song