Roman script

kismat banane wale

kismat banane wale zara samane to aa

mai tujhko ye bataun ke duniya teri hai kya

duniya teri hai kya 

mai tujhko ye bataun ke duniya teri hai kya

duniya teri hai kya

lakho musibate hai garibo ki jaan par

shikwa nahi hai phir bhi kisi ki zaban par

aaja zami pe so gaya kyun asman par

ankho se aa kar dekh jo sunta nahi sada

kismat banane wale

kismat banane wale zara samane to a

mai tujhko ye bataun ke duniya teri hai kya

duniya teri hai kya

kyun diljalo ki aah ka tujh par asar nahi

kya tere pas dekhne wali nazar nahi

jalta hai ghar mera tujhe ye bhi khabar nahi

ye hal hai to kyun na kahun tujhko bewafa

kismat banane wale

kismat banane wale zara samne to a

mai tujhko ye bataun ke duniya teri hai kya

duniya teri hai kya

kyun duniya ham garibo ki barbad gam se hai

tu hai khafa to rutha hua dil bhi ham se hai

bhagawan tere nam hamare hi dam se hai

ham mit gaye to nam bhi mit jayega tera

Explore this song