Roman script

zulfo ka rangin saya 

zulfo ka rangin saya hai tauba khudaya

tumhari ye jawani salamat rahe

zulfo ka rangin saya hai tauba khudaya

tumhari ye jawani salamat rahe

zulfo ka rangin saya 

bhigi fizae dekho chanchal hawae dekho

dil ki sada hai yehi chup na raho

jage hai arma mere mukhade pe gesu tere

din hai ki raat bolo kuch to kaho

bolo na bolo humse kahenge ye tumse

tumhari ye jawani salamat rahe

zulfo ka rangin saaya 

duniya me honge kai dil ko churane wale

tumsa na dekha koi maah-e-naqaab

duniya banane wala tujhko bana ke gori

rup banana haye bhul gaya

tumhara hai zamana, bana do diwana

tumhari ye jawani salamat rahe

zulfo ka rangin saaya 

haye ye adaye teri tujhse bahare meri

gul bhi pukare tujhe bandhe sama

bigadi banana sikho dil ka lagaana sikho

zulfe banana chodo jaan-e-wafa

labo pe sada aaye humari duaye

tumhari ye jawani salamat rahe

zulfo ka rangin saya

Explore this song