Roman script

pyaar ki pyaas, pyaar ki pyaas

kya dharti aur kya aakash, kya dharti aur kya aakash

sabko pyaar ki pyaas

pyaar ki pyaas, pyaar ki pyaas

sarita ko sagar ki pyaas

saagar me laharo ka vaas

sarita ko sagar ki pyaas

saagar me laharo ka vaas

laharen uth-uth jaana chaahe

punam ke chanda ke paas

man se man ko har jivan ko

man se man ko har jivan ko

ek aas vishvas, pyaar ki pyaas

kya dharti aur kya aakash, kya dharti aur kya aakash 

sabko pyaar ki pyaas

pyaar ki pyaas

laakho taaro ki aankhe

raat ko bhar-bhar aati hain

bhor bhaye toh kaliyo par 

shabanam ban jhar jaati hai

paran kaa patjhad pal-pal dhundhe

paran kaa patjhad pal-pal dhundhe

jivan kaa madhumas, pyaar ki pyaas

kya dharti aur kya aakash, kya dharti aur kya aakash  

sabko pyaar ki pyaas

pyaar ki pyaas

Explore this song