Roman script

pyar karega tujhe pyar karega

are pyar karega tujhe pyar karega

nagad nagad na udhar karega

are shadi ke pahle ka, pyar koi pyar hai

shadi ke baad dhuadhar karega

are pyar karega tujhe pyar karega

pyar karega tujhe pyar karega

thode dino baad tu banegi gulab

aur iska rang ud jayega

sakhiyo ke sang roj shopping karegi tu

saajan hi bill ko chukayega

aansu in ankhiyo me aane na dega

apni hi aansu bahayega

apna beda bhale hi dubo de

tera beda paar karega

are pyar karega, tujhe pyar karega

pyar karega tujhe, pyar karega

roj roj jab subah niklega suraj

bed tea tujhko peelayega

baccho ko ye school bhej

phir khud daftar jayega

are late ho jayega, are boss chilayega

are typist hansegi, aur chaprasi gayega

are bheja ghum jayega, aspirin khayega

aur phir ghar ki yaad aate hi

sihar sihar rah jayega

paanch baje ye bahar aakar

sadi ke dukan pe jakar

char sadiyo ko badhwakar

rupay wo udhar karwakar

haare huye juwari jaisa

bin dugdugi madari jaisa

tere samne aayega

are bin baat muskayega

phir hotel le jayega

picture bhi dikhlayega

tan man dhan nyuchhawar karke

wetan ka bantadhar karega

are pyar karega, tujhe pyar karega

pyar karega tujhe, pyar karega

pacchpan ki hone par tujhko ae gauri

pacchis ki hi batlayega

jwalamukhi lagegi tu, par chandrmukhi batlayega

pranath se ye nath banega

phir anath kahlayega, are tere charan dabakar

apne jivan ka uddhar karega

are pyar karega, tujhe pyar karega

pyar karega tujhe, pyar karega

nagad nagad na udhar karega

are shadi ke pahle ka, pyar koi pyar hai

shadi ke baad, dhuadhar karega

are pyar karega, tujhe pyar karega

pyar karega tujhe, pyar karega

Explore this song