Roman script

kya bura hai kya bhala ho sake to jala dil jala

kya bura hai kya bhala ho sake to jala dil jala 

kya bura hai kya bhala kya bura hai kya bhala

ho sake to jala dil jala kya bura hai kya bhala

muskurana sehte jana chahne ki rasm hai 

muskurana sehte jana chahne ki rasm hai 

na lahu na koi aansu ishq aisa zkham hai 

muskurake zkham kha le na shikayat koi na gila

kya bura hai kya bhala ho sake to jala dil jala

kya bura hai kya bhala

sara din gajle pirona rat bhar aawargi

sara din gajle pirona rat bhar aawargi

phat gaya daman to kya hai taza dil hai sadgi 

na dilasa chaha dil ne na wafadari ka silsila

kya bura hai kya bhala ho sake to jala dil jala

kya bura hai kya bhala

Explore this song