Roman script

prit laga ke maine ye phal paya sud budh khoi chain gawaya

tum ne mujhse pyar kiya tha ulfat ka iqarar kiya tha

apna banake pahle ye bisraya prit ka wada khub nibhaya

prit laga ke maine ye phal paya sud budh khoi chain gawaya

prit laga ke maine ye phal paya sud budh khoi chain gawaya

aa ke jo dekhe tu dukh mere aa ke jo dekhe tu dukh mere

kya na bahenge aansu tere dukh de mujhko 

tune kya sukh paya tujhko bedardi reham na aaya

prit laga ke maine ye phal paya sud budh khoi chain gawaya

prit laga ke maine ye phal paya sud budh khoi chain gawaya

ek jhalak phir se dikhla de khwab mein aakar itna bata de

jyot bujha kar in nayno ki kiske man ka deep jalaya

prit laga ke maine ye phal paya sud budh khoi chain gawaya

chain gawaya chain gawaya

Explore this song