Roman script

puchh na mujhse dil ke fasane 
ishq ki baate ishq hi jane 
puchh na mujhse dil ke fasane 
wo din jab hum unse mile the 
dil ke najuk phul khile the 
mast aankhe chum rahi thi 
sari duniya jhum rahi thi 
do dil the wo bhi diwane 
ishq ki baate ishq hi jane 
puchh na mujhse dil ke fasane 
wo din jab hum dur huye the 
dil ke sheeshe chur huye the 
aayi fiza rangeen chaman mein 
aag lagi jab is dil ke ban mein 
aaya na koi aag bujhane 
ishq ki baate ishq hi jane 
puchh na mujhse dil ke fasane

Song details

Song video

Watch on YouTube