Roman script

phir mujhe dida-e-tar yaad aaya 

phir mujhe dida-e-tar yaad aaya

dil jigar tishn-e-fariyaad aaya 

dil jigar tishn-e-fariyaad

dam liya tha na qayamat ne hanoz

dam liya tha na qayamat ne hanoz

phir tera waqt-e-safar yaad aaya 

phir tera waqt-e-safar

jindagi yu bhi gujar hi jaati 

jindagi yu bhi gujar hi jaati

kyu tera raah-e-gujar yaad aaya 

kyu tera raah-e-gujar

koi veerani si veerani hain

koi veerani si veerani hain

dasht ko dekhke ghar yaad aaya 

dasht ko dekhke ghar yaad

maine majnu pe ladakpan mein asad

maine majnu pe ladakpan mein asad

sang uthaya tha ke sar yaad aaya 

sang uthaya tha ke sar yaad

Explore this song