Roman script

o varsha ke pahle baadal, mera sandesha le jana

o varsha ke pahle baadal, mera sandesha le jana

asuvan ki bundan baras kar

asuvan ki bundan baras kar

alka nagri me tum jakar, khabar meri pahunchana

o varsha ke pahle baadal, mera sandesha le jana

maal bhumi aur amarkut se 

vindhyachal, narmada ko jana

vidsha nagri aur dewaasan hokar aage panv badhana

aag virah ki jaha bhi pana

aag virah ki jaha bhi pana

baras baras kar use bujhana

o varsha ke pahle baadal, mera sandesha le jana

dekh andhera, dekh andhera

piya milan ko chalegi chhup kar koi gori

path me tum bijli chamka kar, khol na dena

khol na dena, khol na dena uski chori

birhan ko tum jaha bhi pana, use kahi na jalana

o varsha ke pahle baadal, mera sandesha le jana

ujjaini me mahakal ka, mandir jab tum paao

pujariyo ka naach dekh kar

pujariyo ka naach dekh kar apna man bahlao

par tum unke ang dhang ko dekh atak na jao

par tum unke ang dhang ko dekh atak na jao

shimla me, na chambal me, na kurushetra me rukna

dangal me, na ganga ki lahro ko chumne jhukna

atal himalay ke chadhte, phir yu mudna kailash ki or

jyun chanda ko dekhle pyare

gagan ko jhume jaye chakor

alka me phir jhume uthe tum

mera sandesha sunana

o varsha ke pahle baadal, mera sandesha le jana

Explore this song