Roman script

o ruth jaane waale 

o ruth jaane waale, mera kasur kya hai 

kyu pher li nigaahe 

kyu pher li nigaahe 

kyu mujhko gham diya 

o ruth jaane waale, mera kasur kya hai 

fariyaad sun rahi hai, sahami huyi jawaani 

kisko sunaau ae dil, dukh dard ki kahaani 

apne nahi jab apne, gairo se kya gila hai 

o ruth jaane waale 

o ruth jaane waale, mera kasur kya hai 

beete huye dino ki baato ko yaad karke 

gujri huyi suhaani raato ko yaad karke 

mai dil ko ro rhi hu, dil mujhko ro rha hai 

o ruth jaane waale 

o ruth jaane waale, mera kasur kya hai 

din raat kha raha hai, gham teri berukhi ka 

najdeek aa raha hai, anjaam jindagi ka 

tu hi bata ki aise, jine me kya maja hai

Explore this song