Roman script

o meri bahna pahnau tujhko gahna

o meri bahna pahnau tujhko gahna

tujhe dulhaniya banau aisa dulha dhundh ke lau

ho sabhi tarah se sayana par ek aankh se kana

na-na re bhaiya aisa byah karu na bhaiya

o meri bahna pahnaau tujhko gahna

tu kajra daal aankho me

tu kajra daal aankho me tera dulha ek lakho me

har baat teri manega, tere dil ko pehchanega

har baat teri manega, tere dil ko pehchanega

waise toh mard hai asali, par dant hain uske nakli

na na re bhaiya aisa byah karu na bhaiya

o meri bahna pahnau tujhko gahna

jab ghar se tu jayegi, teri yaad bahut aayegi

waha pyar milega itna ham sabko bhul jayegi

lekin vishwas hai mujhko

mere janam divas par bahna tu nishchay hi aayegi

o mere bhaiya

o meri bahana

Explore this song