Roman script

naino me badra chhaaye, bijli si chamke haye

aise me balam mohe, garvaa laga le

naino me badra chhaaye

madira me dubi ankhiya, chanchal hai dono sakhiya

jhakti rahegi tohe palko ki pyaari pakhiya

sharma ke degi tohe madira ke pyaale

naino me badra chhaaye

prem divaani hu mai

prem divaani hu mai, sapno ki rani hu mai

pichhale janam se teri prem kahani hu mai

aa is janam me bhi tu apna bana le

naino me badra chhaaye, bijli si chamke haye

aise me balam mohe, garvaa laga le

naino me badra chhaaye

Explore this song