Roman script

nain bina

nain bina meri duniya andheri

jau kaha mai jau kaha

jab se bujhe do deep humare

jab se bujhe do deep humare

kya suraj kya chand sitare

kya dharti ke deepak sare

jagmag karte pyare pyare

pyare pyare

mere liye sab kagaz ki dheri

jau kaha mai jau kaha

nain bina meri duniya andheri

jau kaha mai jau kaha

kaun hai apne kaun paraye

kaun hai apne kaun paraye

nain nahi to kaun bataye

kaun mujhe ab raah dikhaye

chhute wo sathi sath jo aaye

sath jo aaye

dur hui parchai bhi meri

jau kaha mai jau kaha

nain bina meri duniya andheri

jau kaha mai jau kaha

jau kaha jau kaha jau kaha

Explore this song