Roman script

nagari-nagari dware dware dhundu re savariya

nagari-nagari dware dware dhundu re savariya

piya-piya ratake mai to ho gayi re banvariya

nagari-nagari dware dware dhundu re savariya

bedardi balam ne mohe, phunka gam ki aag me

phunka gam ki aag me

biraha ki chingari bhar di, dukhiya ke suhaag me

dukhiya ke suhaag me

pal-pal manva roye chhalke naino ki gagariya

nagari-nagari dware dware dhundu re savariya

aai thi ankhiyo me lekar, sapae kya-kya pyar ke

sapae kya-kya pyar ke

jati hun do aansu lekar, aashayain sab haar ke

aashayain sab haar ke

duniyaa ke mele me lut gai jivan ki gathariya

nagari-nagari dware dware dhundu re savariya

darshan ke do pyase naina, jivan bhar na soyenge

jivan bhar na soyenge

bichhde saajan tumre kaaran, raato ko ham royenge

raato ko ham royenge

ab na jaane raama kaise bitegi umariya

nagari-nagari dware dware dhundu re savariya

piya-piya ratake mai to ho gayi re banvariya

Explore this song