Roman script

naav kagaz ki gahra hai pani

zindagi ki yahi hai kahani

phir bhi har haal me muskura ke

duniya dari padegi nibhani

naav kagaz ki gahra hai pani

zindagi ki yahi hai kahani

phir bhi har haal me muskura ke

duniya dari padegi nibhani

naav kagaz ki gahra hai pani

ek nadi ki rawani hai ye

mauj hai aani jani hai ye 

ek nadi ki rawani hai ye

mauj hai aani jani hai ye 

koi dube koi tair le

ek dariya toofani hai ye

nahi patwar na hi kinara

paar kashti ye kaise lagani

phir bhi har haal me muskura ke

duniya dari padegi nibhani

naav kagaz ki gahra hai pani

chand lamho ka ye khel hai

aag pani ka ye mel hai

chand lamho ka ye khel hai

aag pani ka ye mel hai

umr bhar ke liye ye jaha

khubsurat ek jel hai

jan kar bhi hai anjaan sare

aur kya hogi bolo nadani

phir bhi har haal me muskura ke

duniya dari padegi nibhani

naav kagaz ki gahra hai pani

pyar ke bin gujara nahi

aur koi sahara nahi

pyar ke bin gujara nahi

aur koi sahara nahi

hum to mehman hain is jaha ke

ye humara tuhmara nahi 

kaisa shikwa hai kaisi shikayat

kyu hakikat se aankhe churani

phir bhi har haal me muskura ke

duniya dari padegi nibhani

naav kagaz ki gahra hai pani

char nagme ho ek saaj ho

ek mithi si aawaz ho

char nagme ho ek saaj ho

ek mithi si aawaz ho

is safar ke liye hai bahut

ek meharba ho humraaj ho

phir to jannat se badhkar hai duniya

aur khushiyo bhari zindgani

phir bhi har haal me muskura ke

duniya dari padegi nibhani

naav kagaz ki gahra hai pani

Explore this song