Roman script

more naina bahaye neer

more naina bahaye neer

sakhi ka karu mora piya na mane

ka karu mora jiya na mane

naina, more naina bahaye neer

pal chin pee ki rah niharu, pal chin pee ki rah niharu

sang savere unko pukaru, batku mai jamuna ke beech

batku mai jamuna ke beech

naina more naina bahaye neer

kagga jo bole to ankhiya fadke, kagga jo bole to ankhiya fadke

birah ki agni aur bhi bhadke, jal jal jaye sharir

jal jal jaye sharir

naina more naina bahaye neer

aanshu bahe jaise nadiya ki daara

nadhiya ki jaara me preetam pyara, ban ke kamal ruth kahe 

bairi bas me aaye, jau kaha jau kaha, jau kaha

mora manva hua adhir, manva hua adhir

more naina bahaye neer

sakhi ka karu mora piya na mane

ka karu mora jiya na mane

naina more naina bahaye neer

more naina

Explore this song