Roman script

jo mai aisa jaanti ke prit kiye dukh hoy

o, nagar dhidhora pitti ke prit na kariyo koy

mohe bhul gaye sanwariya, bhul gaye sanwariya

mohe bhul gaye sanwariya, bhul gaye sanwariya 

aavan kah gaye, ajhu na aaye 

aavan kah gaye, ajhu na aaye, lini na mori khabriya

mohe bhul gaye sanwariya, bhul gaye sanwariya

dil ko diye kyo dukh birha ke

tod diya kyo mahal bana ke

dil ko diye kyo dukh birha ke

tod diya kyo mahal bana ke

aas dila ke o bedardi

aas dila ke o bedardi pher li kaahe najriya

mohe bhul gaye sanwariya, bhul gaye sanwariya

nain kahe ro-ro ke sajna 

dekh chuke ham pyaar ka sapna

nain kahe ro-ro ke sajna 

dekh chuke ham pyaar ka sapna

prit hai jhuti, pritam jhuta

prit hai jhuti, pritam jhuta jhuti hai saari nagriya

mohe bhul gaye sanwariya, bhul gaye sanwariya

Explore this song