Roman script

mohabbat tark ki maine gareba si liyaa maine

gareba si liyaa maine

zamaane ab to khush ho zahar ye bhi pi liyaa maine

ye bhi pi liyaa maine

abhi zinda hun lekin sochta rahta hun ye dil me

abhi zinda hun lekin sochta rahta hun ye dil me

ki ab tak kis tamanna ke sahaare ji liyaa maine

sahaare ji liyaa maine, mohabbat tark ki maine

tujhe apna nahi sakta magar itna bhi kya kam hai

tujhe apna nahi sakta magar itna bhi kya kam hai

ki kuchh ghadiya tere kwabo me khokar ji liya maine

khokar ji liya maine, mohabbat tark ki maine

bas ab to mera daaman chhod do bekaar ummido

bas ab to mera daaman chhod do bekaar ummido

bahut dukh sah liye maine bahut din ji liyaa maine

bahut din ji liyaa maine, mohabbat tark ki maine

Explore this song