Roman script

mohabbat ki duniya

mein barbad rehna

magar kuch na kahena

mohabbat ki duniya mein

zamane se dukhodard

has has ke sahna

magar kuch na kahna

mohabbat ki duniya mein

mere dil ka sheesha agar tut jaaye

aur hatho se daman tera chhut jaaye

daman tera chhut jaaye

tu khud banke aansu

in aankho se bahena

tu khud banke aansu

in aankho se bahena

magar kuch na kahena

mohabbat ki duniya mein

sunaau kise apne gham ka fasana

sunaau kise apne gham ka fasana

dhuaa de raha hai mere aashiana

mere aashiana

tamasha samjkar ke 

takte hi rahena

tamasha samjkar ke 

takte hi rahena

magar kuch na kahena

mohabbat ki duniya mein

bigada tha maine

bhala kyaa kisi ka

bigada tha maine

bhala kyaa kisi ka

jo lutaa gaya yun

chamna zindagi ka

yun chamna zindagi ka

hai duniya mein rahena toh 

gham yun hi sehna

hai duniya mein rahena toh 

gham yun hi sehna

magar kuch na kahna

mohabbat ki duniya mein.

Explore this song