Roman script

mil na saka dil ko 

mil na saka dil ko 

agar pyaar tumhara

aana padega mujhko 

duniya me dubara

mil na saka dil ko 

daal par gulaab ke shabnam hai zindagi

pyaar ke liye to bahut kam hai zindagi

udti hui is umr ko ik tera sahara

aana padega mujhko 

duniya me dubara

mil na saka dil ko 

apni ye chhoti si mulaqat bahut hai

jitni der tera mile sath bahut hai

bas ek jhalak ek nazar ek ishara

aana padega mujhko 

duniya me dubara

mil na saka dil ko 

agar pyaar tumhara

aana padega mujhko 

duniya me dubara

aana padega mujhko 

duniya me dubara

Explore this song