Roman script

meri aarzu hain tumhe itna chaahun 

meri aarzu hain tumhe itna chaahun 

ki tum biti baato ka, gam bhul jaao 

tumhe raas aa jaaye, meri mohabbat 

jamane ke saare sitam bhul jaao 

meri aarzu hain tumhe itna chaahun 

meri aarzu hain

koi jakhm dil ka, na mujhse chhupaao 

koi jakhm dil ka, na mujhse chhupaao 

muje dard ki daasta kah sunaao

jo khamosh rahne ki khali hain tumne 

khuda ke liye wo kasam bhul jaao 

meri aarzu hain tumhe itna chaahun 

ki tum biti baato ka, gam bhul jaao 

meri aarzu ahin 

ye tanhaaiyaan zindagi chhin legi 

ye tanhaaiyaan zindagi chhin legi 

tumhe chain ki saans lene na degi 

wo yaade jo har waqt, dil ko jalaye 

wo yaade sabi ae sanam bhul jaao 

meri aarzu hain tumhe itna chaahun 

ki tum biti baato ka, gam bhul jaao 

tumhe raas aa jaaye, meri mohabbat 

jamane ke saare sitam bhul jaao 

meri aarzu hain

Explore this song

Song video

Watch on YouTube