Roman script

mere bapu se ye kahna tumhra desh rota hai

tumhari kalpanao ka yaha par khun hota hai

mere bapu se ye kahna 

watan ki tumne phulwari ko sicha khun se apne

tumhari kalapanao ke adhure hai abhi sapne

adhure hai abhi sapne

tumhare kal ke satyug ka nahi abhash hota hai

mere bapu se ye kahna

niyat insan ki badli badhi irshya se barbadi

sisak kar ro rahi dekho ahinsa or abadi

ahinsa or abadi 

aniti naachti hai desh ka adarsh khota hai

mere bapu se ye kahna

pahan kar wastar ukhabi ke 

bane bahrupiye neta

ahinsa na milti to yaha har aasra leta

yaha har aasra leta

tumhare nam ka bapu yaha vyopar hota hai

mere bapu se ye kahna tumhra desh rota hai

Explore this song