Roman script

mera qarar le jaa, mujhe beqarar kar jaa

dam bhar to pyaar kar jaa

mera qarar le jaa, mujhe beqarar kar jaa

dam bhar to pyaar kar jaa

meri zindagi ki raate aa dard se basa de

meri zindagi ki raate aa dard se basa de

dil soz se hai khaali ik aag si laga de

meri khusi ka daman aa taar taar kar jaa

dam bhar to pyaar kar jaa

mera qarar le jaa, mujhe beqarar kar jaa

dam bhar to pyaar kar jaa

chhayi hui ghata me jaise chupa ho pani

chhayi hui ghata me jaise chupa ho pani

tujhme chhupi hui hai meri bhi zindgaani

main to hun paas tere aitbaar kar jaa

dam bhar to pyaar kar jaa

mera qarar le jaa, mujhe beqarar kar jaa

dam bhar to pyaar kar jaa

mera qarar le jaa, mujhe beqarar kar jaa

dam bhar to pyaar kar jaa

Explore this song