Roman script

man ki been matwari baje
man ki been matwari baje
aasha jhume jiwan nache 
man ki been matwari baje
pawan ke sang sang dole jiyara
jhulat aaya sawan pyara
lagan liye mai pal pal dekhu
sawan me bas rup tihara
soye sapne apne jage
man ki been matwari baje
rup nagar se khelne holi
nachti aayi pariyo ki toli
vasant rut hai man rang dalo
vasant rut hai aaaa
vasant rut hai man rang dalo
bolo magan ho prem ki boli
gao mil mil jo tum saaje 
man ki been matwari baje
man ki been matwari baje

Song details

Song video

Watch on YouTube

singer: Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi

actor: Nutan, Bharat Bhushan