Roman script

man ki gagariya me tu chamka kamal khila meri aas ka

najar utha dekha to nikla tu chanda aakash ka

tune chal kiya haye chal kiya tune chal kiya haye chal kiya

man madhuban me tu muskayi phul khila meri aas ka

palak khuli to dekha maine ye sapna tha madhumas ka

tune chal kiya haye chal kiya tune chal kiya haye chal kiya

ga utha tha dil mera kisi ke pyar me

bah gaye wo geet aasuo ki dhar me

kiski ye najar lagi mere singar me

kate hi mile hame to is bahar me

ek bhawre ne kali ko bahka khel rachaya ras ka

bhor bhai ud gaya bedardi dhokha tha viswas ka

tune chal kiya haye chal kiya tune chal kiya haye chal kiya

ik najar se tune man ko jagmaga diya

ek najar se pyar ka diya bujha diya

ek lahar ne hamko kinare laga diya

ek lahar ne aake bhawar me duba diya

tere pyar me hamne khela khel ye aas niras ka

aisi pyas jagayi hai tune ant nahi is pyas ka

tune chal kiya haye chal kiya tune chal kiya haye chal kiya

man ki gagariya me tu chamka kamal khila meri aas ka

najar utha dekha to nikla tu chanda aakash ka

tune chal kiya haye chal kiya tune chal kiya haye chal kiya

Explore this song