Roman script

main gun gaau tera

main gun gaau tera tu hi shyam mera

jale jyot jag me mere ghar andhera

tu hi shyam mera aa tu hi shyam mera

nasibo ki maari kahan aur jaye

kahan aur jaye

ye sansaar ki laaj kahan tak nibhaye

kahan tak nibhaye

zamana na samjhe jo hai haal mera

jale jyot jag me mere ghar andhera

tu hi shyam mera aa tu hi shyam mera

bhalayi ke badle mili hai burai

mili hai burai

bani main tamasha huyi jag hansai

huyi jag hansai

samajh me na aaya ye insaaf tera

jale jyot jag me mere ghar andhera

tu hi shyam mera aa tu hi shyam mera

Explore this song