Roman script

main chali main chali, pichhe pichhe jahan 
ye na poochho kidhar, ye na poochho kaha
sajade me husn ke zook gaya asaman 
lo shuru ho gayi pyar ki dasatan
sajade me husn ke 
jao jaha kahi ankhon se dur 
dil se na jaoge mere hujur
jadu fijaon ka chhaya surur 
ayese me bahake to kisaka kusur
sajade me husn ke zook gaya asaman 
lo shuru ho gayi pyar ki dasatan
main chali main chali, pichhe pichhe jahan 
ye na puchho kidhar, ye na puchho kaha
main chali main chali
bahake kadam chahe bahake najar
jayenge dil leke jaye jidhar
pyar ki rahon me pyara safar
hum kho bhi jaye to kya hain fikar
main chali main chali, pichhe pichhe jahan
ye na puchho kidhar, ye na puchho kaha
sajade me husn ke zuk gaya asaman 
lo shuru ho gayi pyar ki dasatan
main chali main chali

Song details

Song video

Watch on YouTube

singer: Mohammed Rafi, Lata Mangeshkar

actor: Shammi Kapoor, Kalpana