Roman script

main hu saaqi tu hai sharaabi-sharaabi

main hu saaqi tu hai sharaabi-sharaabi

tune aankho se pilayi woh nasha hai ke duhaayi

har taraf dil ke chaman me phul bikhre hai gulabi-gulabi gulabi

main hu saaqi tu hai sharaabi-sharaabi

main hu saaqi tu hai sharaabi-sharaabi

ishq me jina sambhal ke dil ka paimana na chhalke

behki-behki teri nazre khwaab dikhlaati hai kal ke

khwaab dikhlaati hai kal ke

teri mehfil me o saaqi hum chale aaye nashe me

ab to bas ye hai tamanna umr kat jaaye nashe me

umr kat jaaye nashe me

ishq hai tera sawaali

ishq hai tera sawaali husn hai mera jawaabi-jawaabi jaawabi

tu hai saaqi main hu sharaabi-sharaabi

tu hai saaqi main hu sharaabi-sharaabi

main teri duniya me aake reh gaya khud ko bhula ke

kya woh anjaam na jaane hosh ulfat me ganwa ke

bekhudi ke yeh taraane yuhi gaaye ja diwaane

ishq rang laayega apna aa gaye ab woh zamaane

teri mastaani yeh baate

teri mastaani yeh baate dil pe laaye na kharabi-kharabi kharabi

main hu saaqi tu hai sharaabi-sharaabi

tune aankho se pilaayi woh nasha hai ke duhaayi

har taraf dil ke chaman me phul bikhre hai gulabi-gulabi gulabi

main hu saaqi tu hai sharaabi-sharaabi

main hu saaqi tu hai sharaabi-sharaabi

Explore this song